Ek "Cigarette" ki KAHAANI....!

|

Friday, March 26, 2010




maiN "Cigarette"
jalti hu'ii , bujhti hu'ii
dhooeN ko ugalti hu'ii
hai ziNdagee meri chaNd pal ki
aur kar jati huuN auroN ki ziNdagee
bhee chaNd pal ki..
kyuuN peeta hai mujhe
ko'ii shauKh meiN koi roz meN
koi apni ziNdagee ke har soz meiN
na samjh aaya mujhe aaj tak kabhee bhii
ziNdagee ko kam karnaa meraa kaam hai
iNsaan samjhta hai bas ek baar pee leN isey
fir chaiN ,sukooN aur bas aaraam hi aaraam hai
maiN kyaa chaiN duNgi, kya sukooN aur kyaa aaraam
maiN Khud jal rahiiN huuN.. aur dheere dheere
uNke jism ko KhoKhla kar rahiN huuN
kyuuN koi rutbe meN peeta hai mujhe
to koi diKhaave meN aa kar pee letaa hai
jitne kas lagaata hai wo mere
apni ziNdagee ko utnaa hi kam kar letaa hai
merii aadat lagaane se pehle har iNsaan
soch le Khud ke baare meN sau baar
soch le apne Ghar-Parivaar
aur apne uN maasoom bachchoN ke baare meN
ziNdagee baDii hi anmol haii,
baDe kismat waaloN ko hi milti haii
"Cigarette " wo hai jo ees anmol tohfe ko
peene waaloN se dheere-dheere Chheen letee haii
to sudhar jao abhee se warnaa'h baad meN
fir bahot paChhtaavaa hogaa
merii aadat jo lagaaoge to bahot hi booraa aNt
tuMhaara hogaa
maiN to jal rahiiN huuN par..
har peene waale ko jalaauNgee
dheere dheere se uNki ziNdagee ko
maiN raaKh banaauNgee

haaN maiN raaKh banaauNgee

fir bhee aapki marzii..

yeh sab jaanne ke baad bhee jo aap merii aadat lagaaoge
aaj nahiiN to kal hi saHeeH
"CANCER" ka tohfaa mujh se Zaruur paaoge

Ghazal: ZiNdagee meree mujh se kyuuN Khafaa ho ga'ii

|

Tuesday, March 9, 2010





****************************************
saaraa jahaaN mil gayaa mujhe, bas ik terii hi to kami rahiiN.. ey zaalim ! ab to bataa de mujh ko , judaa hone ki aaKhir wo kyaa wajH rahiiN
ke tujh se hi to din the mere KhuShnumaa... tujh se hi to thee meree har Shab rauShan.. merii har saaNsoN meiN tu samaayaa thaa..
tujh ko hi to dil ne mere apnaa banaayaa thaa... yaad kar tune hi to mujh ko jeenaa seeKhaayaa thaa
haaN !! mujh ko jeenaa seeKhayaa thaa..!

****************************************

ZiNdagee meree mujh se kyuuN Khafaa ho ga'ii
kyaa kahiiN mujh se ko'i baDii Khataa ho ga'ii

waj'H kyaa thee ke tu hum se be-wafaa ho ga'ii
saare baNdhan toD ke kyuuN judaa ho ga'ii

muskuraa le mere Ghum pe tu bhee ey sanam!
zaKhm dene ki ti'ree ye ik adaa ho ga'ii

kaise jee paauuNgaa tere binaa ab yahaaN
har KhuShii tujh se thii ziNdagee sazaa ho ga'ii

Khud hi ko bhoolaa baiThaa tha ti'ree chaah meiN
ziNdagee dheere se meree fanaa ho ga'ii

naa gilaa tujh se naa ko'ii Shikaayat mi'ree
waQt marham yaaroN ki duaa dawaa ho ga'ii

****************************************

Shaayri to haii terii ziNdagee...!

|

Thursday, March 4, 2010






Naa ChhoD Shaayri ke raaste
kiisii waj'H ke waaste
ki yahee to thee ziNdagee terii
ki yahee to baNdagee terii
kabhee iShq se mehkaaya to
kabhee dard se rulaayaa bhee
bazm ko naZm-o-Ghazal se
har ehsaasoN se sajaayaa bhee
Phir se qalam ko bulaNd kar
dil kii dhaDkan ko teZ kar
nah baiTh yuuN ziNdagee se door
ke raah deKheN terii sabhee
ke raah deKheN terii sabhee
Naa ChhoD Shaayri ke raaste
kiisii waj'H ke waaste
ki yahee to thee terii ziNdagee
ki yahee to haii terii ziNDagee

haaN !! terii ziNdagee..!