Geet:yeH baariSh kaa mausam....!

|

Friday, June 29, 2007

yeH baariSh kaa mausam
aor thaNdii si hawaaYeN.....[2]
chHe.De haiN terii haay!!
chaNchal si adaaYeN
*
dheeme seY jab tuu aaYeN ,bheege baaloN ko suljHaaYeN
ho jaaYeN dil diiwaanaa ,paayaliyaaN jab khankaaYeN
*
dil ko hardam mere
aise kyuuN taDpaaYeN
yeH baariSh kaa mausam
aor thaNdii si hawaaYeN
*
yeH baariSh kaa mausam
aor thaNdii sii hawaaYeN
chHe.De haiN terii haay!!
chaNchal si adaaYeN
*
jab paas mire tuu aaYeN, fir ess dil ko lalchaaYeN
DhaRkan ko tuu hai baDhaaYeN,dil meiN aag si hai lagaaYeN
*
muHabbat teri mujH~e
diiwaanaa teraa banaaYeN
yeH baariSh kaa mausam
aor thaNdii sii hawaaYeN
*
yeH baariSh kaa mausam
aor thaNdii si hawaaYeN....[2]
chHe.De haiN terii haay!!
chaNchal si adaaYeN
*
yeH baariSh kaa mausam.....!

Ghazal:kaaSh dunyaa meiN ye "kaaSh" na hotaa...!

|

Tuesday, June 19, 2007

kaaSh dunyaa meN ye"kaaSh"na hotaa,
ziNda ho kar bhii maiN laaSh na hotaa
*
Gar nibhaate mujHse riShta wafaa kaa,
be_wafaa_ii kaa ehsaas na hotaa
*
tujH sitamgar seY Shikwaa nahiN dil ko,
kaaSh dil ke koYii paas na hotaa
*
dil meN apneY tujH ko ham na basaate,
Pyaar pe tire jo viShwaas na hotaa
*
teri ruKhsat pe Gham itna na hotaa!
tuu "Dhaval" kaa jo yuuN khaaS na hotaa

Til til har din maiN martii huuN....!

|
mere pyaare dostoN:
" sabhi ko meraa namskaaR aur adaab aaj maiN ek baar fir se aap sab ke bich ek aur kosisH leke aaya huN jo kabhi pehle liKHi nahiN yeH ek azaad nazm hai ..ees kosisH meiN maine "vaishyaa" kii lachari aur bebasi ko bayaaN karne kii kosisH kii hai ummid kartta huN aap sab iise samjhne kii kosisH kareNge.aap sab ke jawaab aur sujhaavo ka iNtrezar raheNga .."

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

रातों के अंधेरों में , या दिन की कडकती धूप मैं,
हर पल हर दीन बस बदलती हुं अपना रूप मै
*
हवस से भरे नंग़े लोग दुनिया के,
रेह्ते है हँमेशा तलाश मे मेरी
इस भीड मै कहीं खो जाती है फिर,
दुख-दर्द से भरी दास्तान मेरी
*
जिस्म अपना बेच बेच के,
खुद तिल तिल हर दिन मैं मरती हुं
खुशी सिर्फ इस बात कि है के,
अपने भुखे बच्चो का पेट मै भरती हुं
*
पैसे नही है उनको पढाने के लिये,
कहुं क्या उनको समझाने के लिये
पति भी दारु की आड मे ना काम कुछ करता हैं,
पैसे कमाने कि खातीरमेरा जिस्म बेच्ने को कहता है
*
मेरी लाचारी शायद कोई
जहां में समझ ना पायेगा,
एय खुदा देख ले लचारी,
तु भी एक दिन पछ्तायेगा
*
बिखर जाती हुं हर रोज़ मैं,
फिर एक और नयी सुबहा आती है
अपने मुस्कुराते बच्चो को देख के,
फिर से जीने कि तमन्ना जाग जाती हैं
*
मजबूरियां ला देती है ईस सफर मैं हमे,
वरना खुद से खुद का चेहरा कभी छुपाती नही
हम "वैश्या" खुशी से अपने दामन पे,
कभी यूं ही कलंक लगाती नही
*
हाँ हम यूं ही कलंक लगाती नही...!******************************************
raatoN ke andheroN meiN yaa din ki kadakti dhoop meiN,
har pal har din bs badalti huuN apnaa roop maiN
*
havas se bhare naNge log ,
rahte hai hamesa talash me meri
ees bhiid meiN kahiiN kho jaati fir,
dukh dard se bhari dastaaN meri
*
jism apnaa bech bech ke,
khud til til har din maiN marti huN
khusHii sirf ees baat ki hai ke
apne bhooke bachcho ka pet maiN bhari huN
*
paise nahiN hai unko paRhane ke liye,
kahuN kyaa unko samajhaane ke liye
pati bhi daru ki aad meiN,naa kaam kuch kartaa hai
paise kamaane kii khatir,mera jism bechne ko kehataa hai
*
meri lachari shaayad koii,
jahaaN meiN samjh na paayeNga
ey khuda! deKh le lachaari
tu bhi ek din pachHtaayega
*
bikhar jaati huN har roz maiN,
fir ek aur nayii subha aatii hai
apne muskuraate bachcho ko deKh ke,
fir se jeene ki tamanna jaag jaati hai
*
majbooriyaaN laa deti hai ees safar meiN hame,
warna khud se khud ka chehra kabhi chHupaati nahiN
hum "vaishyaa" kabhi khusHii se apne daaman pe,
kabhii yuuNhi kalank lagaati nahiiN
*
haaN hum yuuNhi kalank lagaati nahiiN...!

Ghazal:khaak hu_aa wujud miraa sirf bachaa dhuaaN dhuaaN..!

|

Monday, June 18, 2007



saath mire tu reHti haii jaata huN maiN jahaaN jahaaN,
khaaB banii jo aati ho aankheiN lagii wahaaN wahaaN
*
teri adaa pe dil fi_daa ho gaya yuuN mire "sanam",
deKhataa jab bhi huuN tujHe lagta huN maiN jawaaN jawaaN
*
khaa-m-khaa yuuN qarib na aa naZdikiyaaN baRHaa na too,
hoNgi aSar se baahOn ke dhaRkaneN phir rawaaN rawaaN
*
dooba maiN yuuN naShe meiN ab har su mujHe bas tu diKhe,
aaYi tu jo mujHe lage maikade saa samaaN samaaN
*
dard diYaa tune mujHe taShna hu_aa tire liYe,
tiShnagi kii wo daasataaN kaise huwii bayaaN bayaaN
*
taShna:Pyaasa
*
koYi nahiiN "dhaval ' tiraa raKh na jhuthii tu khwaahisheN,
khaak hu_aa wujud miraa sirf bachaa dhuaaN dhuaaN

jab bhii yeH nazreN deKhtii hai tumhe...!

|
जब भी ये नज़रें देख़्ती है तुम्हे
इन होंठों पे मुस्कुराहट छा जाती है
तुम्हारी ये पायल की झनकार
और हाथों के कंगन की आवाज़
मुझे तुम्हारा दीवाना बना देते है

हर सुबहा तुम जब अपनी भिगी हुई ज़ुल्फों से
मेरे चेहरे पर पानी की बूंदे गिराती हो
सूरज की किरने फिर धीरे धीरे से दस्तक देती है
मेरी वो सुबहा और भी हसीन लगने लगती है

वो धीरे धीरे से जब मैं क़रीब आता हुं
बढ्ती हुई धड्कनों को हर पल मेह्सूस करता हुं
जब मेरे हाथ छुते है तुम्हारे लबों को
तो ना जाने क्यूं एक अजीब सा एह्सास होता है

उस एह्सास को और उस प्यार को
मैं अप्ने दिल मैं हँमेशा ज़िंदा रखुंगा

हां मैं हँमेशा ज़िंदा रखुंगा ....!

*************************************

jab bhii yeH nazreN deKhtii hai tumhe
in hoNthoN pe muskuraahaT chha jaaTii hai
tumhaari yeH paayal ki jHankaar
aur haathoN ke yeH kaNgan ki aawaaZ
mujHe tumhaaraa deewaanaa banaa dete haiN
*
har subha tum jab apni bhigee huYi zulfoN se
mere chehre par paani ki booNde giraati ho
sooraj ki kirne fir dheere se dastak deti hai
meri wo subhaa aur bhi haseen lagne lagti hai
*
woh dheere dheere se jab maiN qarib aata huN
baDhtii huYii dhaRkanoN ko har pal mehsoos karta huN
jab mere haath chhute hai tumhaare laboN ko
to naa jaane kyuuN ajeeb saa ehsaas hotaa hai
*
uss ehsaas ko aur uss pyaar ko
maiN apneY dil meiN haMeShaa ziNdaa rakhuNgaa
*
haaN haMeShaa ziNdaa rakhuNgaa...!

Ghazal:Raaz ham se chupaaoge kab tak........!

|
jaaN mujhe tum bhulaaoge kab tak,
aa_ine se chhuDaaoge kab tak
*
kyuN saheN ab malaal-o-gham har pal,
raaz ham se chupaaoge kab tak
*
malaal:sadness
*
ye kaho kyaa hu_ii khataa ham se,
yuuN hame tum sataaoge kab tak
*
pyaar kar ke dikhaa di ye manzil,
daaG dil pe lagaaoge kab tak
*
aankh meiN to base ka_ii sapne,
tum mujhe yuuN rulaaoge kab tak
*
ham tujhe kyaa kaheN gilaa dilbar,
tum "dhaval" ko mitaaoge kab tak

Rooh ko ziNdagii se baGaavat raheGii......!

|

Wednesday, June 13, 2007

har janam meiN tumhe paane kii chahhat raheGii.
tere liye sadaa in hoNthon pe muskurahat raheGii
*
ziNdagii ke kisi moR pe shayd hum bichad jaayeN,
dil ki un galiyoN meN mere kadmoN ki aahat raheGii
*
waQt ke sath - sath shayad tum mujhe bhool jaao,
fir bhi meri yaadoN meN teri mehek ki milaavat raheGii
*
milti ho jab bhi mujhse pyaar chHalaktaa hai dil se ,
dekhoGii jab bhi,aankhoN meN wohi shahraarat raheGii
*
tum jab saath chalti hoi to ik tasalli si rehti hai dil ko.
tum jo rahoGii saNg mere to is dil ko bhii raahat raheGii
*
aarzoo hai bas tumhe paane ki o mere hamkadam !!
Gar na mili tum to rooh ko ziNdagi se baGaavat raheGii

અશ્રુ ભીની મને એ તારી આંખો યાદ આવે છે....!

|
સપના મા કરી હતી તે વાતો યાદ આવે છે
ખુદા ને કરેલી મારી ફરિયાદો યાદ આવે છે
*
ફફ્ત તારા સંગ જીવન મેહેક્તુ હતુ મારુ
સાથે તારા વીતાવેલા પળો યાદ આવે છે
*
સૂરજ ના કિરણ અજવાસ લાવે જીવન મા
ચાંદની તળે કરેલી એ વાતો યાદ આવે છે
*
કોને કહુ હવે મારા જીવન ની વેદના હવે
જાણ્યે-અજાણ્યે કરેલા મારા ગુનાહો યાદ આવે છે
*
ઓળખી ન સક્યો આ "ધવલ" તારા પ્રેમ ને
અશ્રુ ભીની મને એ તારી આંખો યાદ આવે છે

in khwaaboN ke sahaare...! [geet]

|
in khwaboN ke sahaare
kuch sapne hai hamaare
is dil meiN basii tum ho
kyuN samjhe na ishaare??
*
in khwaboN ke sahaare
kuch sapne hai hamaare...{2]
*
tu yuuN milenGii ik din..
dil meiN baseGii ik din...
yeH sath yuuN rahenGaa
har zakhm yuuN bhareGaa..
*
in khwaboN ke sahaare
kuch sapne hai hamaare
is dil meiN basii tum ho
mil jaayenGe kinaare....
*
in khwaboN ke sahaare
kuch sapne hai hamaare
*
tu yuuN milenGii ik din
dil meiN basenGii ik din..
yeH pyaar yuuN ranenGaa
har waQt yuuN kateGaa
*
in khwaboN ke sahaare
kuch sapne hai hamaare..........[2]

mauT safar meiN kahiiN iNtezaar kar rahi hai......!

|
ulajh raha huN maiN andheroN meN kahiN,
Aab-o-tab ki aarzoo bekaraar kar rahi hai...
*
Aab-o-tab:ujaala
*
khwaaboN ke seher meiN simat rahaa huN,
galtiyaaN ziNdagii ka talabgaar kar rahi hai..
*
nashaad huN maiN aur ziNdagii se hara hua ,
ziNdagi gamoN ka vaar pe vaar kar rahi hai..
*
saazish kar rahi hai ziNdagii maut se milke,
chaNd lamhe jeene ka hissedaar kar rahi hai...
*
likh raha huN dard ki siyaahi se apni dastaaN,
muddat khwahisoN ka karobaar kar rahi hai..
*
deKHta huN bas apnii jist ke aakhri panno ko,
maut safar meN kahiiN iNtezaar kar rahi hai..

GuDiyaa tu yuuN hi muskuraati rahe.......!

|
taaroN ki tarHa tu timtimati rahe,
khushiyoN ke geet sada gaati rahe..
*
Ma-baap ka pyaar mile bahot sara,
tabassum se Ghar ko sajaati rahe..
*
tabassum:muskuraaHaT{smile}
*
chhoti si pyaari si guDiyaa hai tu,
ankhoN meN kai khwab basaati rahe..
*
bin maNge hi sab kuch mil jaayeN,
apne Ghar ko hamesa mehkaati rahe..
*
naam roshan kare duniya meiN apna,
khushi ka ehsaas apno ko dilaati rahe..
*
raahoN meiN bicha duN phool sare,
kamyabi ki aur kadam badhaati rahe..
*
dua hai har armaaN tere poore ho,
guDiyaa tu yuuN hi muskuraati rahe..

Absaar meiN kai sapne sajaate haiN.......!

|
aankhoN meiN panapte haiN khwaab,
fir bhi wo aankhoN ko rulaate haiN..
*
Aagosh-e-tasavvur ke kai rang hai,
dil meiN wo ummideN jagaate haiN..
*
Aagosh-e-tasavvur :Imagination ,dreams
*
zulf-e-yaar meiN hum yuuN khoye,
absaar meiN kai sapne sajaate haiN..
*
absaar:eyes, zulf-e-yaar:Beloved's Hair
*
dil-e-dastaaN kuch aisi hai hamarii,
tasalliyoN se dil ko manaate haiN..
*
aisi chaahat ko hum kya kaheN,
Ahal-e-ishq khud ko azmaate haiN..
*
Ahal-e-ishq:People Who Love
*
lakh ahzaan ho chaahe is safar meiN,
Aab-e-chasm ko unse chhupate haiN..
*
Ahzaan : Sorrow ,Aab-e-chasm: tears
*
Maharam-e-dil hai wo meri jist meiN.
usko hi apna haal-e-dil sunaate haiN..
*
Maharam-e-dil :One Who is Close To The Heart