aankhoN meiN panapte haiN khwaab,
fir bhi wo aankhoN ko rulaate haiN..
*
Aagosh-e-tasavvur ke kai rang hai,
dil meiN wo ummideN jagaate haiN..
*
Aagosh-e-tasavvur :Imagination ,dreams
*
zulf-e-yaar meiN hum yuuN khoye,
absaar meiN kai sapne sajaate haiN..
*
absaar:eyes, zulf-e-yaar:Beloved's Hair
*
dil-e-dastaaN kuch aisi hai hamarii,
tasalliyoN se dil ko manaate haiN..
*
aisi chaahat ko hum kya kaheN,
Ahal-e-ishq khud ko azmaate haiN..
*
Ahal-e-ishq:People Who Love
*
lakh ahzaan ho chaahe is safar meiN,
Aab-e-chasm ko unse chhupate haiN..
*
Ahzaan : Sorrow ,Aab-e-chasm: tears
*
Maharam-e-dil hai wo meri jist meiN.
usko hi apna haal-e-dil sunaate haiN..
*
Maharam-e-dil :One Who is Close To The Heart
0 comments:
Post a Comment