Lamhaat-e-yaad-e-yaar ka din.......!

|

Tuesday, May 29, 2007

aa gaya yaaroN izhaar ka din,
apne jaanee ke pyaar ka din..
*
jaanee: lover
*
keh do dil ki baateN tum sab,
aa gaya wisaal-e-yaar ka din..
*
Wisaal-e-yaar : Meeting With Lover
*
ek kadam ki doori na raheN ,
pyar ka yeH raftaar ka din..
*
hathoN meiN hath liye chale,
Lab-e-khaamosh bahaar ka din..
*
nazre dhundhe yahaaN sathi ko,
yeH hai pyaara iNtezar ka din..
*
kashmkas meiN aaj uljhe log,
dil se juRe Istefsaar ka din..
*
istefsaar:questions
*
dar-e-yaar se nazar na uthe ab,
mohabbat bhare ash'aar ka din..
*
dar-e-yaar:lovers door
*
har ashiqo ke dil meiN basta hai,
Lamhaat-e-yaad-e-yaar ka din...
*
Lamhaat-e-yaad-e-yaar Moment Spent In Remembering One's Beloved

khuda se roz yehi mannate.N karta huN.....!

|
waqt ka kuch pata nahi chalta kabhi,
jab bhi maiN usse batee.N karta huN..
*
mil na pana ek majboori hai hamari,
khwabo meiN roz mulakate.N karta huN..
*
uski khusi mere liye sab kuch haiN ,
milke pyar bhari shararate.N karta huN
*
sabhi lamhe khusi bhare nahi hote
anjaane meiN kabhi biddate.N karta huN
*
chhoti batoN se ho jati hai takraar,
manane ko fir maiN darkhsate.N karta huN
*
sada muskurati rahe meri jaaN yuhiN,
khuda se roz yehi mannate.N karta huN

teri yaadoN meiN khoyaa wo ess kadar....! [geet]

|

Thursday, May 24, 2007

teri yaadoN meiN khoya wo is kadar
use ziNdagi ka bhi ehsaas nahi............[2]
*
tu seene me dhadkti hai dil banke,
wo sath raheNga tera saaya banke
roz aayega tere khwaboN meiN
wo tera sath denga humsafar banke
*
use aur kuch paane ki bhi pyaas nahi
teri yaadoN meiN khoya wo is kadar
use zindagi ka bhi ehsaas nahi....[2]
*
tu jahaaN bhi jaayegi duniya meiN,
wo sath raheNga teri yad banke
tu sona use bas yaad karke,
wo aayega milne tera khwaab banke
*
use aur kuch paane ki bhi pyaas nahi
teri yadoN meiN khoya wo is kadar
use zindagi ka bhi ehsaas nahi...
*
use zinagi ka bhi ehsaas nahi...[2]
teri yaadoN meiN khoya wo is kadar.........

maut meri.....teri ZAMAANAT hai.......!

|

Tuesday, May 22, 2007


meri khuShi

teri chahat hai


*

ziNdagi meri,

teri inayat hai


*

meri jaan,

teri ilfat hai


*

duniya meri,

teri jannat hai


*

meri parwaah,

teri sharafat hai


*

majboori meri,

teri ulfat hai


*

meri manzil,

teri saugat hai


*

sharm meri,

teri aadat hai


*

meri khwahish,

teri shakoonat hai


*

wafa meri ,

teri shaaddat hai


*

meri bebasi,

teri furkat hai


*

pasaNd meri ,

teri fitrat hai


*

meri jeet,

teri tahaniyat hai


*

maut meri,

teri zamaanat hai

"Zalzalaa" --"Gujarat earthquake"

|
mere sabhi dostoN ko mera namskaR , aaj ka ye likha hua meri yaadoN se juRa huaa haiN saal 2001 meiN "gujarat" meiN "26 January" ke din subaha subaha 8:48a.m ko ek "zalzlaa" aaya tha jisne kai khofnaak rang dikhaye the aur ziNdagi ke to mayine hi badal diye the us haadse ko beete kai saal guzar chuke haiN par aaj bhi maiN kabhi un yaadoN meiN kho jata huN jo dil ko bahot dard deti hai aaj ka likha hua us din aur un logoN ke liye samarpit hai jo log mere jaisi hi un yadoN ke sath juRe hue haiN. ummid hai ki aapka sath mujhe jaroor milenga
**********************************************
haNste muskurate kai parivaar ko,
khuda ne khoon ke aansu rulaya tha
*
ziNdagii ka kuch bharosa nahi ab,
kahavat ko usne sach karke bataya tha
*
khamosH lafz aur bekarar the log,
har taraf yahaaN maut ka saaya tha
*
rishtoN ko jab usko todna hi tha,
kyuN hame fir ziNdagii se milvaya tha
*
kai maa ne gaveye apne baccho ko,
to kai ne apne suhag ko bhi gavaya tha
*
til til ujad rahi thi sari ziNdagiiyaN,
maut ne apna nanga nach dikhaya tha
*
had ho gayi thi bardast karne ki,
tasalliyoN se sab ne dil ko behlaya thaa
*
ey khuda ! tu kitna zalim hai,
kyuN itni zindagiiyoN ko tune rulaya tha
*
bacche soye bina maa ki kahani ke,
pita ne lori gaake bachho ko sulaya thaa
*
ankhe nahi dekh sakti tho wo pal,
jab kai beto ne pita ki chitta ko jalaya tha
*
khus the sare parivaar apno ke sath,
khusi ko usi hath se kabr me dafnaya tha
*
ro rahi thi sari nadiyaaN bhi us waqt,
kai ne asthiyoN ko pani meiN bahaya tha
*
sare kom ke log ek jut ho gaye the,
sab ne marte hue logoN ko bachaya tha
*
aaj bhi dil tadpta hai yaadoN meiN,
jab "gujarat" meiN "zalzalaa" aaya tha

khwahisheN kahaN kisi ki puri hoti haiN.....!

|
khwahisheN kahaaN kisi ki puri hoti haiN,
sapno ki haqikat to bahot buri hoti haiN..
*
bichad jate haiN sathi safar-e-jist meiN,
mil na paana to unki majboori hoti haiN..
*
mehkta haiN unka pyaar ek-duje k sahare,
muskurahat honthoN pe zaroori hoti haiN..
*
soch nahi sakte ziNdagii ko sathi k bina,
bichadana to dono ki kamzoori hoti haiN..
*
fir bhi chalte rehte haiN bina kuch soche,
ek-duje k bina ziNdagii adhoori hoti haiN

हमारी माँ का आँचल ये लोग ख़ून से भरते हैं ..!

|
हमारे देश के नेता हमसे बड़े बड़े वादेन करते हैं
चुनाव से पेहले देश सुधार के पक्के इरादे करते हैं
*
पेहले कहते हैं "रोड, अस्पताल"सब बनवा दूँगा
बिल्डरो से कहते हैं सारी झोंपडिया तूड़वा दूँगा.
*
सत्ता के लिए ये नेता लोग ख़ून ख़राबा करते हैं
हमारी माँ का आँचल ये लोग ख़ून से भरते हैं
*
हैर जगह आज अच्छे नेताओं की ये टाँग खिचते हैं
चन रूपियो के लीए अपनी मा तक को भी ये बेचते है
*
भूखे नंगे लोग तरस जाते हैं एक बूँद पानी को,
ये लोग अंजाम दे देते है फिर एक और नयी कहानी को
*
कुछ नही कर सकते हम पर यही देश की सच्चाई है
नेता केहते है "धवल' चुप रेहने मे तेरी अच्छाई है
*
मैने तो सिर्फ़ आपको देश की सही तस्वीर दिखाई है
सच को रूबरू करवाने को मैने बस आवाज़ उठाई है

aansuoN ki lakiroN meiN kahiN aaj mera gam mehke...!

|
khwaboN ke gulistaan me khwahisheN har dam mehke,
aansuoN ki lakiroN meiN kahiN aaj mera gam mehke....
*
lam-h-dood hai uska pyaar ziNdagii me mere liye,
aarzoo yehi hai uske pyaar se mera har janam mehke..
*
lam-h-dood= aseem, annant
*
sarvar-e-kaynaat ko meri dua hai bas itni si,
pane ko usko badhne wale mere har kadam mehke...
*
sarvar-e-kaynaat=sari dunaiya ka neta [khuda, bhagvaan]
*
giraftar ho jauN maiN uski chahat me is kadar,
muskan liye honthoN pe sada mera hamkadam mehke..
*
nafs-e-wapsi ki meri aakhri ummid hai bas yehi,
chehra uska dekh ke "dhaval" ka aakhri dam mehke..
*
nafs-e-wapsi =zindagi ke aakhri pal

Banke sitara AASMAA se roz TUJHE dekhunga........!

|

Monday, May 21, 2007

apni ziNdagii ke aaKhirii paloN meiN

ziNdagi ko dheere dheere sametunga...

*

luNga jab tera hath haathoN meiN

tera hath aakhri bar seene pe rakhuNga...

*

teri baahoN me dam na niklega mera

chaNd saanseN aur khuda se manguNga...

*

kaouf-e-taNhai kii wehshat hai mujhe

tere bina akela main waha kaise rahuNga...

*

mujhe tum ziNda rakhna yaadoN meiN

har raat maiN tere khaawoN meiN aauNga...

*

faasla ho chhahe jitna bhee hum meiN

banke sitara asmaaN se roz tujhe dekhuNga..

*

banke khoon baheNge aShq aankhoN se

jab teri dab dabai aankhoN ko dekhuNga...

*

rouh tarppegi har pal 'dhaval' ki dekhna

jab kabhi saath guzre lamho ko sochuNga...

ziNdagi ke khel meiN JEET ke bhi HAARE haiN......!

|

Sunday, May 20, 2007

ziNdagi lag rahi hai mujhe jaise amavas ki raat,
jahaN dekho wahaN taNhaai ke nazaare haiN..
*
bich samNdar me aakar maiN doob raha huN,
bahot parey meri kasHti se ye kinaare haiN...
*
til til uski yadooN meiN bas marta huN har diN
iN absaar meiN sirf aansuoN ki bahare haiN...
*
door jauNga tab bhi mujhe yad ayeNge wo pal,
uske sath jo pal khusi se bhare guzare haiN ..
*
sada kosish karta huN maiN khwab ko paane ki,
bich me hamare kyuuN aziyat ki deeware haiN..
*
maut bhi naseeb na hogi uske deedar ke bager,
Aabo danah me hum gam-e-ulfat ke mare haiN...
*
seyaahat me chalte kahiN kho jayenga "dhaval"
ziNdagi ke khel meiN hum jeet ke bhi haare haiN...

Tanha ZINDAGI ko mujhe ALWIDAA kehne do.......!

|
ek chiNgari hi kafi haiN mujhe jalaane ko,
taNha ziNdagi ko mujhe alwidaa kehNe do....
*
ek pal ki chahat naseeb na ki ghamoN ne,
ghamoN ko aaj mujhe naam bewafaa dene do...
*
ibtisaam se parda uthe jo sahil-e-ashq pe,
chhup chhup ke lahu gaaloN pe behne do...
*
tabdil ho gayi zindagi ghamoN tarikki meiN,
tufaani raatoN meiN niraash deep jalne do....
*
dil me panaah di anjaaN ko pyaar maankar,
bewafa se badhkar ho, use wo naam dene do..
*
koi bat nahiN is daffa bhi samet luNga tuta dil,
hazar daffa tukde hue,aaj bhi use chur hone do..

aaj kahiN "RAHIM" to kahiN "RAM" nazar aate haiN......!

|
aaj kahiN "RAHIM" to kahiN "RAM" nazar aate haiN......!
-------------------------------------------------------
khuda ne socha tha ke raheNge sab insaaN pyaar se,
zameeN pe dekha to armaaN lut'te nazar aate haiN
*
juthe wade aur rishtoN se jee bharta hai insaaN ka,
har ek ke dil me bure paigaam nazar aate haiN
*
kuch to rahaim kiya hota khuda pe khudgarz insaano,
hathoN me talwaar liye sare-aam nazar aate haiN
*
had ho gayi haiN ab to hevaaNiyat ki duniyaN meiN,
jahaaN bhi dekho bas katle-aam nazar aate haiN
*
jo hath chhute the kabhi maa ke pairo ko yaaroN,
un hathoN me aaj sirf bhare jaam nazar aate haiN
*
ehmiyat nahi hai aaj insaaN ko khuda ke paigamo ki,
duniya me har jagah aaj rishte badnaam nazar aate haiN
*
har insaaN ko pata haiN ke "SAB KA MALIK EK HAI",
fir bhi aaj kahiN "rahim" to kahiN "ram"nazar aate haiN