aansuoN ki lakiroN meiN kahiN aaj mera gam mehke...!

|

Tuesday, May 22, 2007

khwaboN ke gulistaan me khwahisheN har dam mehke,
aansuoN ki lakiroN meiN kahiN aaj mera gam mehke....
*
lam-h-dood hai uska pyaar ziNdagii me mere liye,
aarzoo yehi hai uske pyaar se mera har janam mehke..
*
lam-h-dood= aseem, annant
*
sarvar-e-kaynaat ko meri dua hai bas itni si,
pane ko usko badhne wale mere har kadam mehke...
*
sarvar-e-kaynaat=sari dunaiya ka neta [khuda, bhagvaan]
*
giraftar ho jauN maiN uski chahat me is kadar,
muskan liye honthoN pe sada mera hamkadam mehke..
*
nafs-e-wapsi ki meri aakhri ummid hai bas yehi,
chehra uska dekh ke "dhaval" ka aakhri dam mehke..
*
nafs-e-wapsi =zindagi ke aakhri pal

0 comments: