Ghazal: soch kar keejiye iShQ martaa nahiiN...!

|

Sunday, July 28, 2013



soch kar keejiye iShQ martaa nahiiN
sirf detaa hai Ghum Shaad kartaa nahiiN

iShQ aadat burii iShQ se pooChhiye
iShQ hii Khud kabhee iShQ kartaa nahiiN

ik jafaa iShQ haii ik sazaa iShQ haii
Qaafilaa dard kaa dil meiN GhaTtaa nahiiN

ik taraf aag hai ik taraf haii kuwaa
iShQ meN raasataa ko'i miltaa nahiiN

haii Shikaayat yahii Khaar kii Phool se
din chaDhe Phool saa kyuuN wo Khiltaa nahiiN

baaNT kar deSh ko kyaa milaa deKh lo
baDh rahii duShmanii pyaar baDhtaa nahiiN

iShQ ne JOSH ko zaKhm aisaa diyaa
marz laaKhoN kiye zaKhm bhartaa nahiiN


Shaad: KhuSh

Khaar:KaaNTaa

marz:ilaaz

Ghazal: ye ko'ii bataa de muHabbat kahaaN haii...!

|



ye ko'ii bataa de muHabbat kahaaN haii

duaa meiN basii paak chaahat kahaaN haii

hai insaan zindaa yahaaN nafratoN se
u.se dillagee kee Zaroorat kahaaN haii

Chhipaaye hai maine kaii raaz dil meiN
ke izhaar-e-dil ab salaamat kahaaN haii

zaraa sii hansii par diye Ghum hazaaroN
are zindagee !! yeh sharaafat kahaaN haii

diyaa haii bahot kuChh mujhe ziNdagee ne
mujhe ziNdagee se Shikaayat kahaaN haii

jiyo "JOSH" dil se piyo "JOSH" dil se
ti'ree maikaShii se baGaavat kahaaN haii

***********************************


ये कोइ बता दे मुहब्बत कहाँ है
दुआ में बसी पाक चाहत कहाँ है

है इंसान ज़िंदा यहाँ नफ़रतों से
उसे दिल्लगी की ज़रूरत कहाँ है

छिपाये है मैने कई राज़ दिल में
के इज़हार-ए-दिल अब सलामत कहाँ है

ज़रा सी हँसी पर दिए गम हज़ारों
अरे ज़िंदगी ये शराफ़त कहाँ है

दिया है बहोत कुछ मुझे ज़िंदगी ने
मुझे ज़िंदगी से शिकायत कहाँ है

जियो "जोश" दिल से पियो "जोश" दिल से
तेरी मैकशी से बग़ावत कहाँ है

Ghazal: ShuKriyaaH ShuKriyaaH ey mi'ree ziNdagee...!

|

Sunday, February 3, 2013


***********************************

ShuKriyaaH ShuKriyaaH ey mi'ree ziNdagee
Chheen lee jo merii har khuShee har KhuShee

chaar din thi milee jo ti'ree *ham-damee
fir kisii se mi'ree duShmanee naa hu’ee

*ham-damee - dostee
dil wafaadaar hotaa nahiiN har dafaa
seeKh le maan le baat haii ye sahee

chaahatee aur kyaa haii nazar aag see
Khaak mujhko *saraapa to haii kar chukee

*saraapa - sar se pa'er taq
deKhne ko mileN baaGh meiN gul hi gul
*Khaar ko baat ye Zor se haii chubhee

*Khaar- kaaNTaa
*Shams par naa sahee chaaNd par liKh kabhee
Kaun sii baat pe haiN sitaare dukhee??

*Shams - sUraj
chaaNdanee aapko DhooNDhne chal paDee
DhooNDhne "JOSH" ko aa gayee *teeragee

*teeragee - Darkness
***********************************

Ghazal: ab Zindagee meiN meri koee KhwaahiSheN baaQee nahiiN...!

|

Thursday, January 17, 2013



ab Zindagee meiN meri koee KhwaahiSheN baaQee nahiiN
jiss ke liye thee KhwaahiSheN wo lauT ke aayee nahiiN

Ye pyaar kyaa haii cheez ees meiN bhalaa kyaa baat haii?
maiN faasalaa raKhtaa huN ke ees sey mi’ree yaaree nahiiN

Ke dosatoN ne thaa kahaa tuu pyaar karnaa naa kabhee
Jab vaar ye kartaa hai to jaataa kabhee Khaalee nahiiN

wo chaahatee hongee mujhe Khud se bhi zyaadaaH haii yaqeeN
Shaayad tabhee ussne mi’ree kasmeN kabhee Khaayee nahiiN

maiN huuN safar wo jiss meiN saaye bhee nahiiN aate naZar
Khud humsafar huuN Khud hi kaa meraa ko’ee saathee nahiiN

Ye Zindagee ik raaz haii meeThaa bhi haii kaDwaa bhi haii
dil se jiyo to baat kya!! par dil hi to raaZee nahiiN

Uljhaa nahiiN haaraa nahiiN Shikwaa nahiiN taNhaa nahiiN
maiN “JOSH” huuN maayoos ho kar Zindagee kaaTee nahiiN

haii joSh meiN to joSh kee baateN nah kar ey! “JOSH” tuu
Shaayar hai tuu Shaayar hi reh daryaa hai tuu maajhee nahiiN