Mujhe bhoolnaa mat maiN ab jaa chukii huuN..maiN ziNdagee ki jaNg haar chukii huuN. ( Death of Delhi gang-rape Victim)

|

Saturday, December 29, 2012




Mujhe bhoolnaa mat maiN ab jaa chukii huuN
maiN ziNdagee ki jaNg haar chukii huuN
maiN desh kii beTii huuN
maiN desh kii beTii huuN
mujhe bhoolnaa mat maiN ab jaa chukii huuN
hansti muskukaarti hui
zindagee ko alwidaa keh kar
maaN baap ka dulaar ..aap sab ki duaaoN ko
saath le kar
maiN jaa rahiiN huuN
maiN jaa rahiiN huuN
duKh hai dard hai ke
zaKhm kuchh aise bhee saath hai mere
ke bhoole se bhi kabhee bhool na paauNgii maiN
kuchh sawaal bhee hai kuchh jawaab bhii hai
dil-o-dimaag mein mere
kyuN sochaa nahiiN un hawas ke dariNdo ne
maiN unki behan ya beTi bhee huuN
maiN to saare desh ki beTii huuN
maiN to saare deSh ki beTii huuN
mujhe bhoolnaa mat maiN ab jaa chukii huuN
aaNkheiN nam hai merii ..dil taar taar haii
par...
dil meiN aap sabhee ka bahot saara pyaar hai
maiN jaa rahii huuN ab uss jaGah
jahaaN na dariNdgii hai na hawas se bhare log
jahaaN nahiN log matlabi..jo jhuTha afsoos jataate haiN
aur ...
nahiiN gaNdii raajneetee..jo maut pe bhee hotee rehti hai
kya kasoor thaa.. kya wajh thi..
kyuuN "MAIN" hii kyuuN "MAIN" hii...??
maiN duKhi huuN.. maiN duKhi huuN.. bas duKhi huuN
mujhe bhoolnaa mat maiN ab jaa chukii huuN
maiN zindagii ki jaNg haar chuki huuN
maiN desh kii beTii huuN
maiN desh kii beTii huuN
mujhe bhoolnaa mat maiN ab jaa chukii huuN...

Ghazal: Khud Ghum bhi huuN Khud dawaa bhi huuN ...!

|

Saturday, December 22, 2012

                                                                           


******************************

achChhaa bhi huuN maiN buraa bhi huuN
kuChh GhaltiyoN se bharaa bhi huuN

yeh Pyaar hii haii jo aap kaa
yaaroN ke dil meiN basaa bhi huuN

Shikwe naheeN naa malaal haiii
kis ne kahaa maiN Khafaa bhi huuN?

yeh Ghar hai meraa mi'ree zameeN
issko bachaane miTaa bhi huuN

maayoos baiThaa "Dhaval" kahaaN?
Khud Ghum bhi huuN Khud dawaa bhi huuN


******************************

अच्छा भी हूँ मैं बुरा भी हूँ
कुछ गलतियों से भरा भी हूँ

ये प्यार ही है जो आप का
यारों के दिल में बसा भी हूँ

शिकवे नहीं ना मलाल है
किसने कहा मैं खफा भी हूँ?

ये घर है मेरा मेरी ज़मीन
इसको बचाने मिटा भी हूँ

मायूस बैठा "धवल" कहा?
खुद गम भी हूँ खुद दवा भी हूँ


******************************

Geet: bewajah...!

|

Tuesday, December 18, 2012




bewajah ..bewajah...
haaN bewajah ...na ho Judaa
bewajah ..bewajah..
haaN bewajah...na ho Khafaa

maiN chaahuN tujh ko tu chaaheN mujh ko
rab ko haii pataa
merii haNsii tu tu merii dunyaa
merii tuu duaa-(2)
haaN merii tuu duaa...

KhaamoShii deKho mujh meiN kyuuN Chhaa rahiiN haii
dooriyaaN donoN meiN hi kyuuN baDh rahiiN haii
raasate KhaahishoN ke simaTne lage haiN
haath thaame magar fir bhi chalte raheN haiN

KhuShiyoN ka chaltaa raheN silsilaa
Silsilaa...... Silsilaa...

bewajah ..bewajah...
haaN bewajah ...na ho Judaa
bewajah ..bewajah...
haaN bewajah ...na ho Khafaa

maiN paauN tujh ko tu paayeN mujh ko
saNg rahe sadaa
chaahat merii tu tu merii raahat
dil meiN tuu hi basaa- (2)
haaN dil meiN tuu hi basaa..

bewajah na ho judaa... na ho Khafaa
na ho Judaa...!

Ghazal: Soch kar socho kyaa saath jaayegaa...!

|

Sunday, December 16, 2012

                                                                             
******************************************


Soch kar socho kyaa saath jaayega
waQt jo beetegaa fir nah aayegaa

Zindagee Khul ke jee le mire yaaraa
kab talak Ghum par aaNsuu bahaayegaa

dil ki baateN sun le dil ki parwaaH kar
bewafaa'i ka manZar kab bhulaayegaa


ShaaKh se patta ko'i TooTataa haii to
kya Shajar* ko bhalaa woH jalaayega

Shajar= Tree
asliyat aayegee saamane sab kee
daaG tujh par jab koii lagaayegaa

meri GhazleN rauShan baZm ko kartii
hoNgi KhuShi Gar ko'ii kuChh siKhaayegaa



******************************************

सोच कर सोचो क्या साथ जाएगा
वक़्त जो बीतेगा फिर ना आएगा

ज़िंदगी खुल के जी ले मेरे यारा
कब तलक गम पर आँसू बहाएगा

दिलकी बातें सुनले दिलकी परवाह कर
बेवफ़ाई का मंज़र कब भुलाएगा

शाख से पत्ता कोइ टूटता है तो
क्या शजर को भला वो जलाएगा

असलियत सामने आएगी सब की
दाग तुझ पर जब कोइ लगाएगा

मेरी ग़ज़लें रौशन ब्ज़्म को करती
होंगी खुशी गर कोई कुछ सिखाएगा



******************************************

Khudaa Haafiz...!

|

Tuesday, August 28, 2012

Maan lo tum bhi yeh JUDAA lafz hamaari muhabbat ke liye banaa hi nahiiN

warnaah

donoN ek doosre ko kab ke keh chuke hote KHUDAA HAAFIZ...!

aSh'aar...!

|

Saturday, August 25, 2012


manaa lo apne ko jo tumse rooTha huaa sa hoN yaaroN
chale jaane ke baad usske mannatoN ka kyaa faa'idaa

Suno...tum mujhe / सुनो... तुम मुझे...!

|

Monday, May 21, 2012

                                                                               
Suno...
tum mujhe deKh kar
andeKhaa naa kiyaa karo
ik aag si lag jaatee hai
dil mein mere
aur...
dard ki lehrein zoro se
uThne lagti hain
saanse bhee merii dheere dheere se
thamne lagtee haii
Suno...
tum bhari meHfil mein mujhe
anjaanaa naa kahaa karo
kabhee mujh se hi to
pehchaan thee tumhaari
kabhee tum se hi to
pehchaan thi merii
ees meHfil mein...
rauShan huaa karte the
ehsaas hamaare
Suno...
tum meri is baat ko to maanaa karo
deKh kar andeKhaa naa kiyaa karo
aur...
mujhe anjaanaa naa kahaa karo
anjaana naa kahaa karo...!

*******************************

सुनो...
तुम मुझे देख कर
अनदेखा ना किया करो
इक आग सी लग जाती है
दिल में मेरे
और...
दर्द की लहरें ज़ोरो से
उठ्ने लगती है
साँसे भी मेरी धीरे धीरे से
थमने लगती है
सुनो...
तुम भरी महफ़िल में मुझे
अंजाना ना कहा करो
कभी मुझ से ही तो
पहचान थी तुम्हारी
कभी तुम से ही तो
पहचान थी मेरी
ईस महफ़िल में...
रौशन हुआ करते थे
एहसास हमारे
सुनो...
तुम मेरी इस बात को तो माना करो
देख कर अनदेखा ना किया करो
और...
मुझे अंजाना ना कहा करो
अंजाना ना कहा करो...!

Ghazal: baat ChhoTii sii haii maaniYe saahib...!

|

Saturday, March 31, 2012




******************************

baat ChhoTii sii haii maaniYe saahib
ik naZar hum ko bhee deKhiYe saahib

dil lagaa baiThe hoN Zindagee se kyuuN
Zindagee Zaalim haii maaniYe saahib

hum pareShaaN dil bhee pareShaaN haii
chup nah baiThe kuChh to boliYe saahib

ko'i kehtaa kuChh ko'ii kaheN kuChh aor
auroN ki baateN sau sochiYe saahib

firte rehte hoN har Sheh'r meiN har dam
Ghar ko rauShan karne lauTiYe saahib

raat tanhaa tanhaa din bhi tanhaa haii
KhuShiyaaN dene ab aa'iYe saahib

Khud ko kar duuN muHabbat meiN QurbaaN
jaaN ki jaaN bhi hai haaZir leejiYe saahib

******************************

Ghazal: tujhe Zindagee se zyaadaaH hai chaahaa...!

|

Friday, March 30, 2012



tujhe Zindagee se zyaadaaH hai chaahaa
tujhe har KhuShii se zyaadaaH hai chaahaa

luTaa duuN maiN apnii KhuShi saari tujh par
tujhe aaShiqee se zyaadaaH hai chaahaa

mi're dil meiN tuu hi tuu haii samaa'ii
tujhe dillagee se zyaadaaH hai chaahaa

mujhe naa Zaruurat barKhaa ki jaanaaN
tujhe taShnagee se zyaadaaH hai chaahaa

ye dil bhee hai teraa jaaN bhee hai teree
tujhe in sabhee se zyaadaaH hai chaahaa

mi'ree iNtehaa naa deKhii hai tuune
tujhe beKhudii se zyaadaaH hai chaahaa


******************************

तुझे ज़िंदगी से ज़्यादा है चाहा
तुझे हर खुशी से ज़्यादा है चाहा

लूटा दूं मैं अपनी खुशी सारी तुझ पर
तुझे आशिक़ी से ज़्यादा है चाहा

मेरे दिल में तू ही तू है समाई
तुझे दिल्लगी से ज़्यादा है चाहा

मुझे ना ज़रूरत बरखा की जानाँ
तुझे तशनगी से ज़्यादा है चाहा

ये दिल भी है तेरा जाँ भी है तेरी
तुझे इन सभी से ज़्यादा है चाहा

मेरी इंतेहा ना देखी है तूने
तुझे बेखूदी से ज़्यादा है चाहा

******************************

taShnagee: Pyaas

Ghazal: Bewafaa'ii kaa zamaanaa haii wafaa kyuuN karte hoN...!

|

Thursday, March 15, 2012


                                       
******************************************

Bewafaa'ii kaa zamaanaa haii wafaa kyuuN karte hoN
zaKhm Khaate hii raho yaaroN dawaa kyuuN karte hoN

teri kismat meiN nahiiN thaa pyaar kaa rangeeN mausam
fir bhi baateN pyaar ki har waQt bhalaa kyuuN karte hoN

haaN ye aadat haii baDii zaalim jo tujh ko lag gayi haii
log to kehte rahenge sab sunaa kyuuN karte hoN

aik se nahi bewafaa'ii kar tuu hazaaroN se aiisii
baat baDi seedhii si haii samjho manaa kyuuN karte hoN

Shaam Dhalte hii parinde aayenge Ghar meiN apne
Ghar kahe subHa ke hone par uDaa kyuuN karte hoN

Qaafiyaa matlaa-o-maQtaa beH'r aur radeef haii kyaa?
dil ki baateN liKh do auroN ki sunaa kyuuN karte hoN


******************************************