aaj kahiN "RAHIM" to kahiN "RAM" nazar aate haiN......!
-------------------------------------------------------
khuda ne socha tha ke raheNge sab insaaN pyaar se,
zameeN pe dekha to armaaN lut'te nazar aate haiN
*
juthe wade aur rishtoN se jee bharta hai insaaN ka,
har ek ke dil me bure paigaam nazar aate haiN
*
kuch to rahaim kiya hota khuda pe khudgarz insaano,
hathoN me talwaar liye sare-aam nazar aate haiN
*
had ho gayi haiN ab to hevaaNiyat ki duniyaN meiN,
jahaaN bhi dekho bas katle-aam nazar aate haiN
*
jo hath chhute the kabhi maa ke pairo ko yaaroN,
un hathoN me aaj sirf bhare jaam nazar aate haiN
*
ehmiyat nahi hai aaj insaaN ko khuda ke paigamo ki,
duniya me har jagah aaj rishte badnaam nazar aate haiN
*
har insaaN ko pata haiN ke "SAB KA MALIK EK HAI",
fir bhi aaj kahiN "rahim" to kahiN "ram"nazar aate haiN
0 comments:
Post a Comment