Lamhaat-e-yaad-e-yaar ka din.......!

|

Tuesday, May 29, 2007

aa gaya yaaroN izhaar ka din,
apne jaanee ke pyaar ka din..
*
jaanee: lover
*
keh do dil ki baateN tum sab,
aa gaya wisaal-e-yaar ka din..
*
Wisaal-e-yaar : Meeting With Lover
*
ek kadam ki doori na raheN ,
pyar ka yeH raftaar ka din..
*
hathoN meiN hath liye chale,
Lab-e-khaamosh bahaar ka din..
*
nazre dhundhe yahaaN sathi ko,
yeH hai pyaara iNtezar ka din..
*
kashmkas meiN aaj uljhe log,
dil se juRe Istefsaar ka din..
*
istefsaar:questions
*
dar-e-yaar se nazar na uthe ab,
mohabbat bhare ash'aar ka din..
*
dar-e-yaar:lovers door
*
har ashiqo ke dil meiN basta hai,
Lamhaat-e-yaad-e-yaar ka din...
*
Lamhaat-e-yaad-e-yaar Moment Spent In Remembering One's Beloved

0 comments: