mauT safar meiN kahiiN iNtezaar kar rahi hai......!

|

Wednesday, June 13, 2007

ulajh raha huN maiN andheroN meN kahiN,
Aab-o-tab ki aarzoo bekaraar kar rahi hai...
*
Aab-o-tab:ujaala
*
khwaaboN ke seher meiN simat rahaa huN,
galtiyaaN ziNdagii ka talabgaar kar rahi hai..
*
nashaad huN maiN aur ziNdagii se hara hua ,
ziNdagi gamoN ka vaar pe vaar kar rahi hai..
*
saazish kar rahi hai ziNdagii maut se milke,
chaNd lamhe jeene ka hissedaar kar rahi hai...
*
likh raha huN dard ki siyaahi se apni dastaaN,
muddat khwahisoN ka karobaar kar rahi hai..
*
deKHta huN bas apnii jist ke aakhri panno ko,
maut safar meN kahiiN iNtezaar kar rahi hai..

0 comments: