Ek "Cigarette" ki KAHAANI....!

|

Friday, March 26, 2010




maiN "Cigarette"
jalti hu'ii , bujhti hu'ii
dhooeN ko ugalti hu'ii
hai ziNdagee meri chaNd pal ki
aur kar jati huuN auroN ki ziNdagee
bhee chaNd pal ki..
kyuuN peeta hai mujhe
ko'ii shauKh meiN koi roz meN
koi apni ziNdagee ke har soz meiN
na samjh aaya mujhe aaj tak kabhee bhii
ziNdagee ko kam karnaa meraa kaam hai
iNsaan samjhta hai bas ek baar pee leN isey
fir chaiN ,sukooN aur bas aaraam hi aaraam hai
maiN kyaa chaiN duNgi, kya sukooN aur kyaa aaraam
maiN Khud jal rahiiN huuN.. aur dheere dheere
uNke jism ko KhoKhla kar rahiN huuN
kyuuN koi rutbe meN peeta hai mujhe
to koi diKhaave meN aa kar pee letaa hai
jitne kas lagaata hai wo mere
apni ziNdagee ko utnaa hi kam kar letaa hai
merii aadat lagaane se pehle har iNsaan
soch le Khud ke baare meN sau baar
soch le apne Ghar-Parivaar
aur apne uN maasoom bachchoN ke baare meN
ziNdagee baDii hi anmol haii,
baDe kismat waaloN ko hi milti haii
"Cigarette " wo hai jo ees anmol tohfe ko
peene waaloN se dheere-dheere Chheen letee haii
to sudhar jao abhee se warnaa'h baad meN
fir bahot paChhtaavaa hogaa
merii aadat jo lagaaoge to bahot hi booraa aNt
tuMhaara hogaa
maiN to jal rahiiN huuN par..
har peene waale ko jalaauNgee
dheere dheere se uNki ziNdagee ko
maiN raaKh banaauNgee

haaN maiN raaKh banaauNgee

fir bhee aapki marzii..

yeh sab jaanne ke baad bhee jo aap merii aadat lagaaoge
aaj nahiiN to kal hi saHeeH
"CANCER" ka tohfaa mujh se Zaruur paaoge

2 comments:

Asmi said...

bahut bahut bahut pasand aayi!!! Bahut khoobi se aapne cigrette peene ki problem is rachna mein pesh ki hain. Bas ek kaami hai is rachna mein. Mujhe laga ki aapko punctuation jaise viraam, commma etc ka prayog karna chahiye. Samajh nahin aa raha tha ek stanza(aslok?) kahna kahtam ho rah ahai aur doosra kahan kahtam ho raha hai. Viraam lagane ki koi pabandi nahin hai :D bahut khoob! Har cigrette peene walle ko padhni chahiye!

Dhaval Rami said...

Dear aSmi:

namaste!

baii KhuShii hu'ii ki tuMhe merii koShish pasaNd aayiiN.. aur tuMne jo raae'y dee haii bahot achchhi aur saHeeH lagii.. Khayaal raKhuNgaa aur koShiSh bhee!

KhuSh rahoN..!

duaaoN ke saath ijaazat

~ Dhaval